larazti raat baqi hai abhi tum sath mat chhoDo
laraztī raat baaqī hai abhī tum saath mat chhoḌo
abhī to baat baaqī hai abhī tum saath mat chhoḌo
ye maanā sub.h se pahle bikharnā hai tasavvur ko
ajal kī maat baaqī hai abhī tum saath mat chhoḌo
abhī to maiñ ne ḳhanjar kā kiyā ik raaz hai ifshā
lahū kī zaat baaqī hai abhī tum saath mat chhoḌo
tirī rāhoñ ke baḳhshe aable phūTe nahīñ ab tak
abhī sauġhāt baaqī hai abhī tum saath mat chhoḌo
maiñ ab bhī terī palkoñ par vahī Thahrā sā aañsū huuñ
mirī barsāt baaqī hai abhī tum saath mat chhoḌo
junūn-e-dil kī vaadī se sukūn-e-dil kī sarhad tak
abhī sakrāt baaqī hai abhī tum saath mat chhoḌo
larazti raat baqi hai abhi tum sath mat chhoDo
abhi to baat baqi hai abhi tum sath mat chhoDo
ye mana subh se pahle bikharna hai tasawwur ko
ajal ki mat baqi hai abhi tum sath mat chhoDo
abhi to main ne KHanjar ka kiya ek raaz hai ifsha
lahu ki zat baqi hai abhi tum sath mat chhoDo
teri rahon ke baKHshe aable phuTe nahin ab tak
abhi saughat baqi hai abhi tum sath mat chhoDo
main ab bhi teri palkon par wahi Thahra sa aansu hun
meri barsat baqi hai abhi tum sath mat chhoDo
junun-e-dil ki wadi se sukun-e-dil ki sarhad tak
abhi sakraat baqi hai abhi tum sath mat chhoDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.