lashkar-e-wahm-o-guman dil ke badalte hi mile
lashkar-e-vahm-o-gumāñ dil ke badalte hī mile
bahr-e-zulmāt hasīñ phuul masalte hī mile
jo sharāfat ke hasīñ ḳhol meñ malbūs rahe
mai-kade meñ vahī kal shaam ko Dhalte hī mile
be-hisī buġhz-o-'inād aur fareb-o-nafrat
dil meñ is 'ahd ke tohfe ka.ī palte hī mile
anjuman meñ jo rahe barf kī chādar oḌhe
zindagī bhar kaf-e-afsos vo malte hī mile
be-karāñ fikr se 'betāb' kahāñ fursat thī
mas.ale ziist ke har vaqt machalte hī mile
lashkar-e-wahm-o-guman dil ke badalte hi mile
bahr-e-zulmat hasin phul masalte hi mile
jo sharafat ke hasin KHol mein malbus rahe
mai-kade mein wahi kal sham ko Dhalte hi mile
be-hisi bughz-o-'inad aur fareb-o-nafrat
dil mein is 'ahd ke tohfe kai palte hi mile
anjuman mein jo rahe barf ki chadar oDhe
zindagi bhar kaf-e-afsos wo malte hi mile
be-karan fikr se 'betab' kahan fursat thi
masale zist ke har waqt machalte hi mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.