latafat isko kahte hain
latāfat is ko kahte haiñ
ki shāmat is ko kahte haiñ
chhile maḳhmal pe bhī paañv
nazākat is ko kahte haiñ
na sudh apnī rahe baaqī
mohabbat is ko kahte haiñ
sune tā'ne bhī ḳhanda-lab
sharāfat is ko kahte haiñ
payambar muqtadī jin ke
imāmat is ko kahte haiñ
jab āñkheñ rahte andhā ho
jihālat is ko kahte haiñ
badal de raat ko din meñ
vakālat is ko kahte haiñ
kabhī tanhā nahīñ aatī
musībat is ko kahte haiñ
jo lamha haath aa jaa.e
ġhanīmat is ko kahte haiñ
na jaane kis pe aa jaa.e
tabī'at is ko kahte haiñ
kareñ jab tajraba sājhā
qarābat is ko kahte haiñ
azaañ maqtal se jab gūñje
'ibādat is ko kahte haiñ
bayāñ jo 'nazr' karte haiñ
haqīqat us ko kahte haiñ
latafat is ko kahte hain
ki shamat is ko kahte hain
chhile maKHmal pe bhi panw
nazakat is ko kahte hain
na sudh apni rahe baqi
mohabbat is ko kahte hain
sune ta'ne bhi KHanda-lab
sharafat is ko kahte hain
payambar muqtadi jin ke
imamat is ko kahte hain
jab aankhen rahte andha ho
jihaalat is ko kahte hain
badal de raat ko din mein
wakalat is ko kahte hain
kabhi tanha nahin aati
musibat is ko kahte hain
jo lamha hath aa jae
ghanimat is ko kahte hain
na jaane kis pe aa jae
tabi'at is ko kahte hain
karen jab tajraba sajha
qarabat is ko kahte hain
azan maqtal se jab gunje
'ibaadat is ko kahte hain
bayan jo 'nazr' karte hain
haqiqat us ko kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.