latif aisi kuchh is dil ki shisha-kari thi
latīf aisī kuchh is dil kī shīsha-kārī thī
ki ek raat bhī ham ahl-e-dil pe bhārī thī
hazār ma.arke sar kar ke log haar ga.e
husain-ibn-e-alī! fat.h to tumhārī thī
usī ke saa.e meñ sustā.e us ke bairī bhī
us aadmī meñ daraḳhtoñ sī burdbārī thī
lahū kī aag meñ dil jhulsā jhulsā jaatā thā
darīcha khol ke dekhā to barf-bārī thī
qatīl ho ke bhī maiñ apne qātiloñ se laḌā
ki mere ba.ad mire dostoñ kī baarī thī
shajar pe būzne baiThe unheñ bulāte the
magar parindoñ kī parvāz-e-nāz jaarī thī
har ek zarb ko dil sah gayā magar 'rāhī'
jo dast-e-gul ke sabab thī vo zarb kaarī thī
latif aisi kuchh is dil ki shisha-kari thi
ki ek raat bhi hum ahl-e-dil pe bhaari thi
hazar marke sar kar ke log haar gae
husain-ibn-e-ali! fath to tumhaari thi
usi ke sae mein sustae us ke bairi bhi
us aadmi mein daraKHton si burdbari thi
lahu ki aag mein dil jhulsa jhulsa jata tha
daricha khol ke dekha to barf-bari thi
qatil ho ke bhi main apne qatilon se laDa
ki mere baad mere doston ki bari thi
shajar pe buzne baiThe unhen bulate the
magar parindon ki parwaz-e-naz jari thi
har ek zarb ko dil sah gaya magar 'rahi'
jo dast-e-gul ke sabab thi wo zarb kari thi
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 544)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.