latif pardon se the numayan makin ke jalwe makan se pahle
latif pardon se the numayan makin ke jalwe makan se pahle
Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
latīf pardoñ se the numāyāñ makīñ ke jalve makāñ se pahle
mohabbat ā.īna ho chukī thī vajūd-e-bazm-e-jahāñ se pahle
na vo mire dil se bā-ḳhabar the na un ko ehsās-e-ārzū thā
magar nizām-e-vafā thā qaa.em kushūd-e-rāz-e-nihāñ se pahle
har ek unvān-e-dard-e-furqat hai ibtidā sharh-e-mudda.a kī
koī batā.e ki ye fasāna sunā.eñ un ko kahāñ se pahle
masarrateñ rāzdār-e-ġham thiiñ masarratoñ meñ alam thā pinhāñ
jabhī to sehn-e-chaman meñ shāyad bahār aa.ī ḳhizāñ se pahle
samajh rahā thā ki nā-umīdī na parda-dār-e-umīd hogī
nazar uThā kar jo maiñ ne dekhā ġhubār thā kārvāñ se pahle
uThā jo miinā ba-dast-e-sāqī rahī na kuchh tāb-e-zabt baaqī
tamām mai-kash pukār uTThe yahāñ se pahle yahāñ se pahle
qasam fareb-e-nigāh-o-dil kī hameñ to us justujū ne khoyā
vahīñ thī dar-asl apnī manzil qadam uThe the jahāñ se pahle
azal se shāyad likhe hue the 'shakīl' qismat meñ jaur-e-paiham
khulī jo āñkheñ is anjuman meñ nazar milī āsmāñ se pahle
latif pardon se the numayan makin ke jalwe makan se pahle
mohabbat aaina ho chuki thi wajud-e-bazm-e-jahan se pahle
na wo mere dil se ba-KHabar the na un ko ehsas-e-arzu tha
magar nizam-e-wafa tha qaem kushud-e-raaz-e-nihan se pahle
har ek unwan-e-dard-e-furqat hai ibtida sharh-e-mudda ki
koi batae ki ye fasana sunaen un ko kahan se pahle
masarraten raazdar-e-gham thin masarraton mein alam tha pinhan
jabhi to sehn-e-chaman mein shayad bahaar aai KHizan se pahle
samajh raha tha ki na-umidi na parda-dar-e-umid hogi
nazar uTha kar jo main ne dekha ghubar tha karwan se pahle
uTha jo mina ba-dast-e-saqi rahi na kuchh tab-e-zabt baqi
tamam mai-kash pukar uTThe yahan se pahle yahan se pahle
qasam fareb-e-nigah-o-dil ki hamein to us justuju ne khoya
wahin thi dar-asl apni manzil qadam uThe the jahan se pahle
azal se shayad likhe hue the 'shakil' qismat mein jaur-e-paiham
khuli jo aankhen is anjuman mein nazar mili aasman se pahle
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 195)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.