lau baDha jati hai zaKHmon ki saba sham ke baad
lau baDha jati hai zaKHmon ki saba sham ke baad
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
lau baḌhā jaatī hai zaḳhmoñ kī sabā shaam ke baad
jagmagāte haiñ charāġhān-e-vafā shaam ke baad
aag chhiḌkī ga.ī jaltī huī tanhā.ī par
sarsarā.ī tirī zulfoñ kī havā shaam ke baad
dil ke jalte hue shahroñ se pare duur kahīñ
terī lai meñ thā koī naġhma-sarā shaam ke baad
din ke hangāmoñ kī har choT javāñ hotī hai
phir sañbhaltī hai mirī laġhzish-e-pā shaam ke baad
sub.h jaagī to mahakne lage zaḳhmoñ ke gulāb
ġham kī palkoñ pe jalī dil kī chitā shaam ke baad
zehn ḳhvāboñ kī salīboñ pe laTaktā hī rahā
jhanjhanātī rahī zanjīr-e-jafā shaam ke baad
ye dakan ye lab-e-mūsā ye sanam-zār 'kalīm'
umr-e-rafta mujhe detī hai sadā shaam ke baad
lau baDha jati hai zaKHmon ki saba sham ke baad
jagmagate hain charaghan-e-wafa sham ke baad
aag chhiDki gai jalti hui tanhai par
sarsarai teri zulfon ki hawa sham ke baad
dil ke jalte hue shahron se pare dur kahin
teri lai mein tha koi naghma-sara sham ke baad
din ke hangamon ki har choT jawan hoti hai
phir sanbhalti hai meri laghzish-e-pa sham ke baad
subh jagi to mahakne lage zaKHmon ke gulab
gham ki palkon pe jali dil ki chita sham ke baad
zehn KHwabon ki salibon pe laTakta hi raha
jhanjhanati rahi zanjir-e-jafa sham ke baad
ye dakan ye lab-e-musa ye sanam-zar 'kalim'
umr-e-rafta mujhe deti hai sada sham ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.