lau baDhi aur bhi baDhane se
lau baḌhī aur bhī baḌhāne se
jal uThe haiñ diye purāne se
vaqt miltā to pyaar bhī karte
un ko fursat kahāñ rulāne se
naqsh jaisā subhāv hai un kā
aur bigḌeñge vo banāne se
ek maiñ hī kahāñ pareshāñ huuñ
tang hai vo bhī to zamāne se
raushnī jis ne dī zamāne ko
merā rishta hai us gharāne se
mausamoñ kā mizāj hai 'zāhir'
aur bigḌeñge vo zamāne se
lau baDhi aur bhi baDhane se
jal uThe hain diye purane se
waqt milta to pyar bhi karte
un ko fursat kahan rulane se
naqsh jaisa subhaw hai un ka
aur bigDenge wo banane se
ek main hi kahan pareshan hun
tang hai wo bhi to zamane se
raushni jis ne di zamane ko
mera rishta hai us gharane se
mausamon ka mizaj hai 'zahir'
aur bigDenge wo zamane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.