lau charagh-e-hasti ki har qadam pe larzan hai
lau charāġh-e-hastī kī har qadam pe larzāñ hai
jab se tum gurezāñ ho zindagī pareshāñ hai
qaid-e-be-salāsil hai tā.eroñ kī āzādī
ehtisāb ho jis meñ vo chaman bhī zindāñ hai
pal rahe haiñ shāḳhoñ par ḳhaar kī tarah ham bhī
aap kī bahāreñ haiñ aap kā gulistāñ hai
aur baḌhne vaalī haiñ zulmateñ shab-e-ġham kī
in hasīñ ujāloñ meñ kuchh fareb pinhāñ haiñ
ik nazar kī fursat bhī aap ko nahīñ miltī
kab se mere hāthoñ meñ aarzū kā dāmāñ hai
aa ke terī mahfil meñ ho rahā hai andāza
ziist kitnī mushkil hai maut kitnī āsāñ hai
ḳhuun shāh-rāhoñ par ḳhuun tang galiyoñ meñ
'soz' is zamāne meñ ḳhuun kitnā arzāñ hai
lau charagh-e-hasti ki har qadam pe larzan hai
jab se tum gurezan ho zindagi pareshan hai
qaid-e-be-salasil hai taeron ki aazadi
ehtisab ho jis mein wo chaman bhi zindan hai
pal rahe hain shaKHon par KHar ki tarah hum bhi
aap ki bahaaren hain aap ka gulistan hai
aur baDhne wali hain zulmaten shab-e-gham ki
in hasin ujalon mein kuchh fareb pinhan hain
ek nazar ki fursat bhi aap ko nahin milti
kab se mere hathon mein aarzu ka daman hai
aa ke teri mahfil mein ho raha hai andaza
zist kitni mushkil hai maut kitni aasan hai
KHun shah-rahon par KHun tang galiyon mein
'soz' is zamane mein KHun kitna arzan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.