lau jo ghar ka diya nahin deta
lau jo ghar kā diyā nahīñ detā
sham'-e-dil kyoñ jalā nahīñ detā
māñgne kā agar salīqa ho
māñgne se vo kyā nahīñ detā
TuuTā dil aur Tuut jaatā hai
dost jab hausla nahīñ detā
jāntā hai vafā ke jo mā'nī
dost ban ke daġhā nahīñ detā
bhiiḌ ko chiir kar nikaltā huuñ
jab koī rāsta nahīñ detā
jo kabhī bevafā ne likkhe the
to vo ḳhat kyoñ jalā nahīñ detā
ab mirā dil bhī kis liye 'rizvān'
shab-e-ġham meñ ziyā nahīñ detā
lau jo ghar ka diya nahin deta
sham'-e-dil kyon jala nahin deta
mangne ka agar saliqa ho
mangne se wo kya nahin deta
TuTa dil aur Tut jata hai
dost jab hausla nahin deta
jaanta hai wafa ke jo ma'ni
dost ban ke dagha nahin deta
bhiD ko chir kar nikalta hun
jab koi rasta nahin deta
jo kabhi bewafa ne likkhe the
to wo KHat kyon jala nahin deta
ab mera dil bhi kis liye 'rizwan'
shab-e-gham mein ziya nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.