lauh-e-imkan pe hasti ka bharam khulta hai
lauh-e-imkān pe hastī kā bharam khultā hai
jaane kab uqda-e-maujūd-o-adam khultā hai
rang-o-āhang bhī hote haiñ vahāñ dast darāz
us parī-zād kā jab bāb-e-karam khultā hai
shaam hote hī yahāñ āmad-e-mahtāb ke saath
ḳhāna-e-dil meñ tirī yaad kā ġham khultā hai
ham koī baat tayaqqun se nahīñ kah sakte
ham pe asrār-e-zamāna abhī kam khultā hai
yuuñ bikharte haiñ ḳhayāloñ meñ tire husn ke rang
dasht par jaise kisī abr kā nam khultā hai
ḳhatra-e-jāñ hai rah-e-ishq meñ lekin 'muḳhtār'
rāh-e-dushvār pe chalne se qadam khultā hai
lauh-e-imkan pe hasti ka bharam khulta hai
jaane kab uqda-e-maujud-o-adam khulta hai
rang-o-ahang bhi hote hain wahan dast daraaz
us pari-zad ka jab bab-e-karam khulta hai
sham hote hi yahan aamad-e-mahtab ke sath
KHana-e-dil mein teri yaad ka gham khulta hai
hum koi baat tayaqqun se nahin kah sakte
hum pe asrar-e-zamana abhi kam khulta hai
yun bikharte hain KHayalon mein tere husn ke rang
dasht par jaise kisi abr ka nam khulta hai
KHatra-e-jaan hai rah-e-ishq mein lekin 'muKHtar'
rah-e-dushwar pe chalne se qadam khulta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.