lauT jate hain mere ghar se mere gham-KHwar bhi
lauT jate hain mere ghar se mere gham-KHwar bhi
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
lauT jaate haiñ mire ghar se mire ġham-ḳhvār bhī
in dinoñ duniyā se kuchh rahtā huuñ maiñ bezār bhī
un se tark-e-dostī par mujh ko andāza na thā
is qadar ūñchī uThā dī jā.egī dīvār bhī
aur kuchh din hai mire shānoñ pe is gardan kā bojh
us ne apne haath meñ le lī hai ab talvār bhī
mausam-e-ḳhush-rang kā darkār hai kuchh iltifāt
tishna-lab is bazm meñ saaqī bhī hai mai-ḳhvār bhī
khā ga.ī haiñ hijrateñ jab se mirī taaza ġhazal
is calendar meñ nazar aatā nahīñ itvār bhī
lauT jate hain mere ghar se mere gham-KHwar bhi
in dinon duniya se kuchh rahta hun main bezar bhi
un se tark-e-dosti par mujh ko andaza na tha
is qadar unchi uTha di jaegi diwar bhi
aur kuchh din hai mere shanon pe is gardan ka bojh
us ne apne hath mein le li hai ab talwar bhi
mausam-e-KHush-rang ka darkar hai kuchh iltifat
tishna-lab is bazm mein saqi bhi hai mai-KHwar bhi
kha gai hain hijraten jab se meri taza ghazal
is calendar mein nazar aata nahin itwar bhi
- Book : سائبان غزل (Pg. 82)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.