lauT kar jaise daur-e-shabab aa gaya
lauT kar jaise daur-e-shabāb aa gayā
aap kyā aa ga.e inqalāb aa gayā
is tarah dil ke armān puure hue
nāma-bar le ke ḳhat kā javāb aa gayā
dekhne ko tarastī thiiñ āñkheñ jise
sāmne vo mire be-hijāb aa gayā
gulshan-e-dil pe ik tāzgī chhā ga.ī
ban ke vo ik mujassam gulāb aa gayā
ālam-e-ḳhvāb meñ jis ko paḌhtā thā maiñ
rū-e-zebā kī le kar kitāb aa gayā
jis ke jaane se tārīk thī zindagī
ḳhāna-e-dil meñ bā-āb-o-tāb aa gayā
zehn mā.ūf thā ginte ginte jise
aaj 'barqī' vo roz-e-hisāb aa gayā
lauT kar jaise daur-e-shabab aa gaya
aap kya aa gae inqalab aa gaya
is tarah dil ke arman pure hue
nama-bar le ke KHat ka jawab aa gaya
dekhne ko tarasti thin aankhen jise
samne wo mere be-hijab aa gaya
gulshan-e-dil pe ek tazgi chha gai
ban ke wo ek mujassam gulab aa gaya
aalam-e-KHwab mein jis ko paDhta tha main
ru-e-zeba ki le kar kitab aa gaya
jis ke jaane se tarik thi zindagi
KHana-e-dil mein ba-ab-o-tab aa gaya
zehn mauf tha ginte ginte jise
aaj 'barqi' wo roz-e-hisab aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.