lauT ke sahraon se chashm-e-tar jaenge
lauT ke sahrāoñ se chashm-e-tar jā.eñge
ab ke mausam ham bhī apne ghar jā.eñge
apnā soch tū rusvā.ī to terī hogī
yaar hamārā kyā hai ham to mar jā.eñge
itnī vahshat le kar ghar meñ mat jaanā
aisī hālat meñ to bachche Dar jā.eñge
itnī sundar hai vo 'ishq to honā hī thā
phir mere bachche bhī to us par jā.eñge
āñkhoñ meñ aañsū le kar mat chhūnā ham ko
aise meñ to zaḳhm hamāre bhar jā.eñge
dekho koī bastī hai us paar nadī ke
chhoḌo itnī raat meñ kis ke ghar jā.eñge
lauT ke sahraon se chashm-e-tar jaenge
ab ke mausam hum bhi apne ghar jaenge
apna soch tu ruswai to teri hogi
yar hamara kya hai hum to mar jaenge
itni wahshat le kar ghar mein mat jaana
aisi haalat mein to bachche Dar jaenge
itni sundar hai wo 'ishq to hona hi tha
phir mere bachche bhi to us par jaenge
aankhon mein aansu le kar mat chhuna hum ko
aise mein to zaKHm hamare bhar jaenge
dekho koi basti hai us par nadi ke
chhoDo itni raat mein kis ke ghar jaenge
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 107)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.