lawen charagh-e-wafa ki baDha ke dekhte hain
lawen charagh-e-wafa ki baDha ke dekhte hain
Mohsin Ummeedi Burhanpuri
MORE BYMohsin Ummeedi Burhanpuri
laveñ charāġh-e-vafā kī baḌhā ke dekhte haiñ
ham apnā zarf-e-nazar aazmā ke dekhte haiñ
phir apne dil ko kisī ġham meñ mubtalā jaano
vo baar baar idhar muskurā ke dekhte haiñ
vo log jin ko shu.ūr-e-nigāh hāsil hai
vo apne aap meñ jalve ḳhudā ke dekhte haiñ
zarūr us ke darīche se ho ke aa.ī hai
jo badle badle se tevar sabā ke dekhte haiñ
sunā hai us kī hañsī meñ hai zindagī 'mohsin'
to aao us ko zarā sā hañsā ke dekhte haiñ
lawen charagh-e-wafa ki baDha ke dekhte hain
hum apna zarf-e-nazar aazma ke dekhte hain
phir apne dil ko kisi gham mein mubtala jaano
wo bar bar idhar muskura ke dekhte hain
wo log jin ko shuur-e-nigah hasil hai
wo apne aap mein jalwe KHuda ke dekhte hain
zarur us ke dariche se ho ke aai hai
jo badle badle se tewar saba ke dekhte hain
suna hai us ki hansi mein hai zindagi 'mohsin'
to aao us ko zara sa hansa ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.