lazzat-e-did ka chaska hai to aa dekh mujhe
lazzat-e-did ka chaska hai to aa dekh mujhe
Zahida Khatoon sharvaiya
MORE BYZahida Khatoon sharvaiya
lazzat-e-dīd kā chaskā hai to aa dekh mujhe
sāhab-e-dīda-e-bīnā hai to aa dekh mujhe
merī sūrat hai tamāshā-gah-e-yās-o-ummīd
gar tujhe shauq-e-tamāshā hai to aa dekh mujhe
sab mirī baat pe kahte haiñ ki muḳhtal hai dimāġh
tujh ko dīvānoñ kā saudā hai to aa dekh mujhe
mujh se bhī barsar-e-paikār hai qismat merī
dekhnā jang kā naqsha hai to aa dekh mujhe
rābiya hai maraz-e-ġham se burā haal mirā
gar mizāj āj-kal achchhā hai to aa dekh mujhe
log pūchheñge mirī sūrat-o-sīrat tujh se
muñh kisī ko jo dikhānā hai to aa dekh mujhe
lazzat-e-did ka chaska hai to aa dekh mujhe
sahab-e-dida-e-bina hai to aa dekh mujhe
meri surat hai tamasha-gah-e-yas-o-ummid
gar tujhe shauq-e-tamasha hai to aa dekh mujhe
sab meri baat pe kahte hain ki muKHtal hai dimagh
tujh ko diwanon ka sauda hai to aa dekh mujhe
mujh se bhi barsar-e-paikar hai qismat meri
dekhna jang ka naqsha hai to aa dekh mujhe
rabiya hai maraz-e-gham se bura haal mera
gar mizaj aaj-kal achchha hai to aa dekh mujhe
log puchhenge meri surat-o-sirat tujh se
munh kisi ko jo dikhana hai to aa dekh mujhe
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 185)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.