lazzat-e-hijr ko tavīl kare
dard-e-dil kī agar sabīl kare
baḳhsh de martaba fazīlat kā
jis ko bhī rab mirā ḳhalīl kare
maiñ diyā huuñ ḳhulūs-e-ulfat kā
āñdhiyoñ ko ḳhudā fasīl kare
jal uTheñgī bujhī bujhī āñkheñ
raushnī kī koī sabīl kare
hirs ne maile kar diye haiñ vajūd
ishq ab zaat ko jamīl kare
tū jise chāhe us ko izzat de
aur jise chāhe tū zalīl kare
ham to haiñ 'momī' ab charāġh-e-sahar
rab tirī zindagī tavīl kare
lazzat-e-hijr ko tawil kare
dard-e-dil ki agar sabil kare
baKHsh de martaba fazilat ka
jis ko bhi rab mera KHalil kare
main diya hun KHulus-e-ulfat ka
aandhiyon ko KHuda fasil kare
jal uThengi bujhi bujhi aankhen
raushni ki koi sabil kare
hirs ne maile kar diye hain wajud
ishq ab zat ko jamil kare
tu jise chahe us ko izzat de
aur jise chahe tu zalil kare
hum to hain 'momi' ab charagh-e-sahar
rab teri zindagi tawil kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.