lazzat-e-hijr ne taDpaya bahut ruswa kiya
lazzat-e-hijr ne taḌpāyā bahut rusvā kiyā
toḌ kar pheñkā mire zabt ko gum-gashta kiyā
aañkh se TuuT ke barsā mire ḳhvāboñ kā lahū
dil kī dahlīz pe tanhā.ī ne jab sajda kiyā
maiñ vahāñ rah gayā dekhā mujhe logoñ ne yahāñ
haa.e taqsīm mujhe ishq ne ye kaisā kiyā
āgahī baḳhsh ke tartīb diyā pahle mujhe
ishq ne ruuh ko is jism se phir chaltā kiyā
ḳhāmushī ko na samajh le vo kahīñ merī shikast
hashr jī-jān meñ jāñ-levā sā ḳhud barpā kiyā
ḳhud se laḌte hue le aayā huuñ maiñ ḳhud ko vahāñ
mere saa.e ne judā mujh se jahāñ rasta kiyā
ho na jā.ūñ kahīñ gum-gashta na miT jā.ūñ kahīñ
be-sabab dil kī tabāhī kā miyāñ charchā kiyā
ḳhauf thā dasht utar jaa.e na mujh meñ tab hī
chashm-e-tishna kā makīñ bahtā huā dariyā kiyā
ḳhud se bichhḌā to khulā raaz ye dil par mere
apnī pahchān ho qismat ne mujhe tanhā kiyā
dil pe kyā mauj-e-'nasīmī' ne mire bosa dharā-
dil kī vahshat pe takallum ne mire qabza kiyā
lazzat-e-hijr ne taDpaya bahut ruswa kiya
toD kar phenka mere zabt ko gum-gashta kiya
aankh se TuT ke barsa mere KHwabon ka lahu
dil ki dahliz pe tanhai ne jab sajda kiya
main wahan rah gaya dekha mujhe logon ne yahan
hae taqsim mujhe ishq ne ye kaisa kiya
aagahi baKHsh ke tartib diya pahle mujhe
ishq ne ruh ko is jism se phir chalta kiya
KHamushi ko na samajh le wo kahin meri shikast
hashr ji-jaan mein jaan-lewa sa KHud barpa kiya
KHud se laDte hue le aaya hun main KHud ko wahan
mere sae ne juda mujh se jahan rasta kiya
ho na jaun kahin gum-gashta na miT jaun kahin
be-sabab dil ki tabahi ka miyan charcha kiya
KHauf tha dasht utar jae na mujh mein tab hi
chashm-e-tishna ka makin bahta hua dariya kiya
KHud se bichhDa to khula raaz ye dil par mere
apni pahchan ho qismat ne mujhe tanha kiya
dil pe kya mauj-e-'nasimi' ne mere bosa dhara-
dil ki wahshat pe takallum ne mere qabza kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.