Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lazzat-e-kar bhi hasil nahin be-garon mein

Ram Parkash Rahi

lazzat-e-kar bhi hasil nahin be-garon mein

Ram Parkash Rahi

MORE BYRam Parkash Rahi

    lazzat-e-kār bhī hāsil nahīñ be-gāroñ meñ

    vo yahī soch ke shāmil hai ġhalat-kāroñ meñ

    be-ruḳhī tarz-e-taġhāful vo talavvun kyā thā

    ek iqrār jo Dhaltā rahā inkāroñ meñ

    phir dabe paañv vo chunte haiñ sulagtī Tīseñ

    aable khul ke jo hañste haiñ ḳhazaf-zāroñ meñ

    koī sho.aloñ lapak thī na dhueñ lapTeñ

    jal-bujhī āb-o-havā karb ke angāroñ meñ

    aañkh to aañkh thī sāñsoñ se shuā.eñ phūTīñ

    koī lipTā thā ghanī zulf mahkāroñ meñ

    vo jo iffat hai sarāpā to mirā ijz ba-ḳhair

    puuj lūñgā use pāzeb jhankāroñ meñ

    Duub kar so ga.e is bahr-e-ḳhalā meñ 'rāhī'

    koī tinkā na thā khokhle me.ayāroñ meñ

    lazzat-e-kar bhi hasil nahin be-garon mein

    wo yahi soch ke shamil hai ghalat-karon mein

    be-ruKHi tarz-e-taghaful wo talawwun kya tha

    ek iqrar jo Dhalta raha inkaron mein

    phir dabe panw wo chunte hain sulagti Tisen

    aable khul ke jo hanste hain KHazaf-zaron mein

    koi shoalon ki lapak thi na dhuen ki lapTen

    jal-bujhi aab-o-hawa karb ke angaron mein

    aankh to aankh thi sanson se shuaen phuTin

    koi lipTa tha ghani zulf ki mahkaron mein

    wo jo iffat hai sarapa to mera ijz ba-KHair

    puj lunga use pazeb ki jhankaron mein

    Dub kar so gae is bahr-e-KHala mein 'rahi'

    koi tinka hi na tha khokhle meayaron mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now