lazzat-e-sang na puchho logo umr agar hath aae phir
Interesting Fact
1962
lazzat-e-sañg na pūchho logo umr agar haath aa.e phir
majnūñ ban kar sahrā sahrā koī use gañvā.e phir
ham ne to is ek aas par saare diip jalā.e phir
raat kabhī saath aa.e kisī ke shāyad aur na jaa.e phir
yuuñ bhī apnā ahd-e-javānī ḳhvāb thā dilkash chehroñ kā
aur ġhubār-e-vaqt ne to vo chehre bhī dhundlā.e phir
sab ke apne apne dukh haiñ sunñe vaalā koī nahīñ
sunñe vaalā koī na ho to kis ko koī sunā.e phir
'ishqī' tum ne umr guzārī hai ummīd-e-bahārāñ meñ
aur ayyām-e-bahārāñ bhī gar tum ko raas na aa.e phir
lazzat-e-sang na puchho logo umr agar hath aae phir
majnun ban kar sahra sahra koi use ganwae phir
hum ne to is ek aas par sare dip jalae phir
raat kabhi sath aae kisi ke shayad aur na jae phir
yun bhi apna ahd-e-jawani KHwab tha dilkash chehron ka
aur ghubar-e-waqt ne to wo chehre bhi dhundlae phir
sab ke apne apne dukh hain sunne wala koi nahin
sunne wala koi na ho to kis ko koi sunae phir
'ishqi' tum ne umr guzari hai ummid-e-bahaaran mein
aur ayyam-e-bahaaran bhi gar tum ko ras na aae phir
- Book : Qamat (Pg. 36)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.