lazzat-e-zaKHm se taskin hua karti hai
lazzat-e-zaḳhm se taskīn huā kartī hai
ishq meñ kaunsī tauhīn huā kartī hai
is mohabbat kī kachahrī meñ to pahle din se
dil kī har baat pe āmīn huā kartī hai
zinda-dargor kiyā hai to batā itnā bhī
zinda logoñ kī bhī tadfīn huā kartī hai
ik taraf to hai ye haq haq se tajāvuz karnā
ik taraf sabr kī talqīn huā kartī hai
zindagī hārne vaale kī tashaffī ke liye
ba.ad-az-marg bhī tahsīn huā kartī hai
vaqt nā-sāz ho to hoñToñ kī shīrīnī bhī
aañkh ke paanī se namkīn huā kartī hai
Dar nahīñ lagtā kisī aag ke dariyā se mujhe
haath meñ sūra-e-yāsīn huā kartī hai
lazzat-e-zaKHm se taskin hua karti hai
ishq mein kaunsi tauhin hua karti hai
is mohabbat ki kachahri mein to pahle din se
dil ki har baat pe aamin hua karti hai
zinda-dargor kiya hai to bata itna bhi
zinda logon ki bhi tadfin hua karti hai
ek taraf to hai ye haq haq se tajawuz karna
ek taraf sabr ki talqin hua karti hai
zindagi haarne wale ki tashaffi ke liye
baad-az-marg bhi tahsin hua karti hai
waqt na-saz ho to honTon ki shirini bhi
aankh ke pani se namkin hua karti hai
Dar nahin lagta kisi aag ke dariya se mujhe
hath mein sura-e-yasin hua karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.