lazzat-shanas-e-dard koi aadmi na ho
lazzat-shanās-e-dard koī aadmī na ho
merī tarah shikār-e-ġham-e-dostī na ho
bhūle se bhī kahā ho agar bevafā tumheñ
mujh ko tamām 'umr mayassar ḳhushī na ho
vo mujh ko ġhair samjheñ burā yā bhulā kaheñ
lekin mire ḳhulūs meñ yārab kamī na ho
saaqī hamāre vāste vo mai harām hai
jis meñ tirī nigāh kī mastī milī na ho
aatā nahīñ hai rang-e-mohabbat shabāb par
mahbūb kī taraf se agar barhamī na ho
'afgan' ġham-e-hayāt pe kuchh tabsira na kar
jab tak hadīs-e-ġham se tujhe āgahī na ho
suntā huuñ shor jab bhī kahīñ sochtā huuñ maiñ
mere huzūr kī yahīñ mahfil jamī na ho
lazzat-shanas-e-dard koi aadmi na ho
meri tarah shikar-e-gham-e-dosti na ho
bhule se bhi kaha ho agar bewafa tumhein
mujh ko tamam 'umr mayassar KHushi na ho
wo mujh ko ghair samjhen bura ya bhula kahen
lekin mere KHulus mein yarab kami na ho
saqi hamare waste wo mai haram hai
jis mein teri nigah ki masti mili na ho
aata nahin hai rang-e-mohabbat shabab par
mahbub ki taraf se agar barhami na ho
'afgan' gham-e-hayat pe kuchh tabsira na kar
jab tak hadis-e-gham se tujhe aagahi na ho
sunta hun shor jab bhi kahin sochta hun main
mere huzur ki yahin mahfil jami na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.