lazzat si pa rahe hain gham-e-ashiqi se hum
lazzat sī pā rahe haiñ ġham-e-āshiqī se ham
kuchh vaqt aur māñgte haiñ zindagī se ham
jaise the bazm meñ na muḳhātib kisī se ham
afsāna un se kah ga.e is sādgī se ham
is darja baḌh ga.e haiñ had-e-be-ḳhudī se ham
ab to usī ko pūchh rahe haiñ usī se ham
rangīnī-e-fareb-e-tabassum na pūchhiye
kis sādgī meñ aa ga.e kis sādgī se ham
husn-e-talab hai ye koī dīvāngī nahīñ
haañ haañ tujhī ko maañg rahe haiñ tujhī se ham
dekhā kabhī unheñ kabhī ḳhud par nigāh kī
khele haiñ maut se to kabhī zindagī se ham
rañgīni-e-hayāt sarāb-e-hayāt hai
paiġhām sun rahe haiñ ye har ik kalī se ham
ai dil vo aa.eñ bahr-e-'ayādat yaqīñ nahīñ
uljheñ fuzūl kyoñ nafas-e-āḳhirī se ham
hotī hai ashk-e-ġham hī se taskīn-e-shām-e-ġham
dil kī lagī bujhāte haiñ dil kī lagī se ham
haiñ dāġh-hā-e-dil kī shab-e-ġham navāzisheñ
tārīkiyoñ meñ khelte haiñ chāñdnī se ham
zehn-āzmā hai raaz nayā roz ai 'shifā'
tang aa ga.e haiñ silsila-e-āgahī se ham
lazzat si pa rahe hain gham-e-ashiqi se hum
kuchh waqt aur mangte hain zindagi se hum
jaise the bazm mein na muKHatib kisi se hum
afsana un se kah gae is sadgi se hum
is darja baDh gae hain had-e-be-KHudi se hum
ab to usi ko puchh rahe hain usi se hum
rangini-e-fareb-e-tabassum na puchhiye
kis sadgi mein aa gae kis sadgi se hum
husn-e-talab hai ye koi diwangi nahin
han han tujhi ko mang rahe hain tujhi se hum
dekha kabhi unhen kabhi KHud par nigah ki
khele hain maut se to kabhi zindagi se hum
rangini-e-hayat sarab-e-hayat hai
paigham sun rahe hain ye har ek kali se hum
ai dil wo aaen bahr-e-'ayaadat yaqin nahin
uljhen fuzul kyon nafas-e-aKHiri se hum
hoti hai ashk-e-gham hi se taskin-e-sham-e-gham
dil ki lagi bujhate hain dil ki lagi se hum
hain dagh-ha-e-dil ki shab-e-gham nawazishen
tarikiyon mein khelte hain chandni se hum
zehn-azma hai raaz naya roz ai 'shifa'
tang aa gae hain silsila-e-agahi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.