le chala jaan-e-hazin wasl ka KHwahan hona
le chalā jān-e-hazīñ vasl kā ḳhvāhāñ honā
aah dushvār hai us shauq kā sāmāñ honā
ab kabhī ġhusse se bhī tum ne idhar dekhā nahīñ
jān-e-man qahr hai yuuñ ham se gurezāñ honā
dam-ba-dam taaza rahā siine meñ dāġhoñ kā shabāb
qābil-e-rashk hai is ghar meñ charāġhāñ honā
armuġhāñ phuul kā jūñhī mujhe bhejā tum ne
dekhte dil kā ba-rang-e-gul-e-ḳhandāñ honā
talḳhī-e-sadma se phir rukne lagā dam merā
tum ne chāhā hai sanam ġhair kā mehmāñ honā
le chala jaan-e-hazin wasl ka KHwahan hona
aah dushwar hai us shauq ka saman hona
ab kabhi ghusse se bhi tum ne idhar dekha nahin
jaan-e-man qahr hai yun hum se gurezan hona
dam-ba-dam taza raha sine mein daghon ka shabab
qabil-e-rashk hai is ghar mein charaghan hona
armughan phul ka junhi mujhe bheja tum ne
dekhte dil ka ba-rang-e-gul-e-KHandan hona
talKHi-e-sadma se phir rukne laga dam mera
tum ne chaha hai sanam ghair ka mehman hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.