le gaya mujhse mujhe ruTh ke jaane wala
le gayā mujh se mujhe ruuTh ke jaane vaalā
kaash ye hādisa bhī hotā bhulāne vaalā
phuul jab roz kitāboñ meñ khilā karte the
vo zamāna nahīñ ab lauT ke aane vaalā
ab du'āoñ se muqaddar nahīñ badlā karte
aap bhī kaam kareñ koī zamāne vaalā
muddatoñ paas samundar ke rahā maiñ lekin
ek qatra na milā pyaas bujhāne vaalā
ab fasādoñ kī ḳhabar sun ke laraz jaatā huuñ
ghar meñ bas ek hī beTā thā kamāne vaalā
shahr āñkhoñ kā bahut din se hai suunā 'āzar'
hādisa koī to ho dil ko dukhāne vaalā
le gaya mujh se mujhe ruTh ke jaane wala
kash ye hadisa bhi hota bhulane wala
phul jab roz kitabon mein khila karte the
wo zamana nahin ab lauT ke aane wala
ab du'aon se muqaddar nahin badla karte
aap bhi kaam karen koi zamane wala
muddaton pas samundar ke raha main lekin
ek qatra na mila pyas bujhane wala
ab fasadon ki KHabar sun ke laraz jata hun
ghar mein bas ek hi beTa tha kamane wala
shahr aankhon ka bahut din se hai suna 'azar'
hadisa koi to ho dil ko dukhane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.