le gaya shatir koi haq mar ke
le gayā shātir koī haq maar ke
haath ḳhālī rah ga.e haqdār ke
ek vo jo jiit kar bhī haiñ udaas
aur ik ham haiñ jo ḳhush haiñ haar ke
ham ko haq-goī kī hai aadat bahut
mustahiq haiñ ham salīb-o-dār ke
lag ga.iiñ pābandiyāñ ta.amīr par
kaT ga.e phir haath ik me.amār ke
ik taraf duniyā hai to diin ik taraf
aadmī hai biich meñ mañjdhār ke
shaam tak ta.amīr dhuñdlī ho ga.ī
sub.h jo safhe pe thī aḳhbār ke
le gaya shatir koi haq mar ke
hath KHali rah gae haqdar ke
ek wo jo jit kar bhi hain udas
aur ek hum hain jo KHush hain haar ke
hum ko haq-goi ki hai aadat bahut
mustahiq hain hum salib-o-dar ke
lag gain pabandiyan tamir par
kaT gae phir hath ek meamar ke
ek taraf duniya hai to din ek taraf
aadmi hai bich mein manjdhaar ke
sham tak tamir dhundli ho gai
subh jo safhe pe thi aKHbar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.