le ke dil kahte ho ulfat kya hai
le ke dil kahte ho ulfat kyā hai
husn vaalo ye sharārat kyā hai
ik uchaTtī sī taġhāful kī nigāh
hīla-e-arz-e-mohabbat kyā hai
ḳhud hī nādim huuñ vafā par apnī
us tabassum kī zarūrat kyā hai
mujh ko bohtān-e-havas bhī manzūr
kaun samjhegā haqīqat kyā hai
nikhat-o-nūr ke sāñsoñ kā kamāñ
varna tū kyā mirī sūrat kyā hai
qāmat-e-yār kī bigḌī huī shakl
fitna-e-roz-e-qayāmat kyā hai
kis kī himmat ki tujhe saath lagā.e
tū ba-juz mauj-e-latāfat kyā hai
rabt mahsūs kī uljhan ke sivā
aap kā jazba-e-nafrat kyā hai
ashk-e-ġham buuñd hai paanī kī magar
ye bhī ma.alūm hai qīmat kyā hai
dāman-e-nāz kī jhāḌī huī gard
aur insāñ kī haqīqat kyā hai
maiñ ki ik gauhar-e-ālūda-e-ḳhāk
kuchh na samjhā mirī qīmat kyā hai
tālib-e-dād-e-suḳhan kyuuñ ho 'nisār'
aap ke sher meñ jiddat kyā hai
le ke dil kahte ho ulfat kya hai
husn walo ye shararat kya hai
ek uchaTti si taghaful ki nigah
hila-e-arz-e-mohabbat kya hai
KHud hi nadim hun wafa par apni
us tabassum ki zarurat kya hai
mujh ko bohtan-e-hawas bhi manzur
kaun samjhega haqiqat kya hai
nikhat-o-nur ke sanson ka kaman
warna tu kya meri surat kya hai
qamat-e-yar ki bigDi hui shakl
fitna-e-roz-e-qayamat kya hai
kis ki himmat ki tujhe sath lagae
tu ba-juz mauj-e-latafat kya hai
rabt mahsus ki uljhan ke siwa
aap ka jazba-e-nafrat kya hai
ashk-e-gham bund hai pani ki magar
ye bhi malum hai qimat kya hai
daman-e-naz ki jhaDi hui gard
aur insan ki haqiqat kya hai
main ki ek gauhar-e-aluda-e-KHak
kuchh na samjha meri qimat kya hai
talib-e-dad-e-suKHan kyun ho 'nisar'
aap ke sher mein jiddat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.