le liya allah se maine kabhi bhagwan se
le liya allah se maine kabhi bhagwan se
Hameed Dilkash Khandwi
MORE BYHameed Dilkash Khandwi
le liyā allāh se maiñ ne kabhī bhagvān se
kaam kitne hī nikāle jaan aur pahchān se
dekhnā un khāne vāloñ ko na aa.egā maza
kal kī jaane vaalī murġhī aaj jaa.e jaan se
har kas-o-nā-kas kī sun kar an-sunī kartā huuñ maiñ
baat begam kī sunā kartā huuñ puure dhyān se
ham kisī netā ke dum-chhalle nahīñ ban kar rahe
zindagī ham ne guzārī hai bahut hī shaan se
maar kar chaturā.ī se charba kiyā aur paḌh diyā
sher kitne hī uḌā kar 'mīr' ke dīvān se
bas chale mātā-pitā hī zahr de kar maar deñ
sab pareshāñ-hāl haiñ baḌhtī huī santān se
chaa.e piite haiñ to fauran baḌh ke le lete haiñ paan
dab ke ham rahte nahīñ kam-zarf ke ehsān se
le liya allah se main ne kabhi bhagwan se
kaam kitne hi nikale jaan aur pahchan se
dekhna un khane walon ko na aaega maza
kal ki jaane wali murghi aaj jae jaan se
har kas-o-na-kas ki sun kar an-suni karta hun main
baat begam ki suna karta hun pure dhyan se
hum kisi neta ke dum-chhalle nahin ban kar rahe
zindagi hum ne guzari hai bahut hi shan se
mar kar chaturai se charba kiya aur paDh diya
sher kitne hi uDa kar 'mir' ke diwan se
bas chale mata-pita hi zahr de kar mar den
sab pareshan-haal hain baDhti hui santan se
chae pite hain to fauran baDh ke le lete hain pan
dab ke hum rahte nahin kam-zarf ke ehsan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.