leta hun us ka nam bhi aah-o-buka ke sath
leta hun us ka nam bhi aah-o-buka ke sath
Abdul Hafeez Sahil Qadri
MORE BYAbdul Hafeez Sahil Qadri
letā huuñ us kā naam bhī āh-o-bukā ke saath
kitnā hasīn rishta hai merā ḳhudā ke saath
us kī qubūliyat meñ koī shak nahīñ rahā
bheje haiñ ham ne ashk bhī ab ke duā ke saath
bujhte hue charāġh ko hāthoñ meñ le liyā
is baar baazī jiit lī maiñ ne havā ke saath
aa ke bachā le maut mujhe zindagī se tū
kitnī guzārūñ aur maiñ is bevafā ke saath
tūfāñ meñ mujh ko banñā paḌā us ke dast-o-pā
'sāhil' vagarna bantī na thī nā-ḳhudā ke saath
leta hun us ka nam bhi aah-o-buka ke sath
kitna hasin rishta hai mera KHuda ke sath
us ki qubuliyat mein koi shak nahin raha
bheje hain hum ne ashk bhi ab ke dua ke sath
bujhte hue charagh ko hathon mein le liya
is bar bazi jit li main ne hawa ke sath
aa ke bacha le maut mujhe zindagi se tu
kitni guzarun aur main is bewafa ke sath
tufan mein mujh ko banna paDa us ke dast-o-pa
'sahil' wagarna banti na thi na-KHuda ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.