Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

libas-e-KHak sahi par kahin zarur hun main

Iftikhar Naseem

libas-e-KHak sahi par kahin zarur hun main

Iftikhar Naseem

MORE BYIftikhar Naseem

    libās-e-ḳhāk sahī par kahīñ zarūr huuñ maiñ

    batā rahī hai chamak aañkh ki nuur huuñ maiñ

    koī nahīñ jo mirī lau se rāsta dekhe

    havā-e-tund bujhā de tire huzūr huuñ maiñ

    panāh detā nahīñ koī aur sayyāra

    bhaTak rahā huuñ ḳhalā meñ zamīñ se duur huuñ maiñ

    na ho girā ke mujhe bhī ḳhaak meñ mil jaa.e

    mujhe gale se lagā le tirā ġhurūr huuñ maiñ

    nikal paḌā huuñ yūñhī itnī barf-bārī meñ

    badan ke garm lahū ajab surūr huuñ maiñ

    sazā bhī kaaT chukā huuñ maiñ jis ḳhatā 'nasīm'

    kise pukārūñ kahūñ is meñ be-qusūr huuñ maiñ

    libas-e-KHak sahi par kahin zarur hun main

    bata rahi hai chamak aankh ki ki nur hun main

    koi nahin jo meri lau se rasta dekhe

    hawa-e-tund bujha de tere huzur hun main

    panah deta nahin koi aur sayyara

    bhaTak raha hun KHala mein zamin se dur hun main

    na ho gira ke mujhe tu bhi KHak mein mil jae

    mujhe gale se laga le tera ghurur hun main

    nikal paDa hun yunhi itni barf-bari mein

    badan ke garm lahu ka ajab surur hun main

    saza bhi kaT chuka hun main jis KHata ki 'nasim'

    kise pukarun kahun is mein be-qusur hun main

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 52)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now