libas-e-yar ko main para-para kya karta
libās-e-yār ko maiñ pāra-pāra kyā kartā
qabā-e-gul se use isti.āra kyā kartā
bahār-e-gul meñ haiñ dariyā ke josh kī lahreñ
bhalā maiñ kashtī-e-mai se kināra kyā kartā
naqāb ulaT ke jo muñh 'āshiqoñ ko dikhlāte
tumhīñ kaho ki tumhārā nazāra kyā kartā
sunā jo hāl-e-dil-e-zār yaar ne to kahā
tabīb marte hue kaahe chāra kyā kartā
hilāl-e-īd kā har-chand ho jahāñ mushtāq
tumhārī abrūoñ kā sā ishāra kyā kartā
haqīqat-e-dahan-e-yār kholtā kyūñ-kar
nahufta raaz ko maiñ āshkāra kyā kartā
qadam ko pīchhe rah-e-ḳhaufnāk-e-ishq meñ rakh
ye pahle dekh le dil hai ishāra kyā kartā
ḳhum-e-sharāb se mujh mast ne na muñh pherā
kanār-e-āb se pyāsā kināra kyā kartā
bahār thī jo vo gul-chehra yaar bhī hotā
akele jā ke chaman kā nazāra kyā kartā
gudāz mom se har ustuḳhvāñ ko paatā huuñ
phir aur sozish-e-dil kā harārā kyā kartā
baḌā hī ḳhvār 'ilāqa hai gulshan-e-ulfat
mirī tarah koī is meñ ijāra kyā kartā
sharāb-e-ḳhuld kī ḳhātir dahan hai rakhtā saaf
vuzū meñ varna ye zāhid ġharāra kyā kartā
shikasta-dil na ho us but ke naaz se kyūñ-kar
sulūk shīsha se hai sañg-e-ḳhārā kyā kartā
bahār-e-gul meñ piyāla lagā liyā muñh se
sharāb piine ko maiñ istiḳhāra kyā kartā
faqīr ko nahīñ darkār shaan amīroñ kī
sar-barahna sar-e-goshvāra kyā kartā
bahār-e-gul meñ thā jaame se bāhar ai 'ātish'
na kartā maiñ jo garebāñ ko paara kyā kartā
libas-e-yar ko main para-para kya karta
qaba-e-gul se use istiara kya karta
bahaar-e-gul mein hain dariya ke josh ki lahren
bhala main kashti-e-mai se kinara kya karta
naqab ulaT ke jo munh 'ashiqon ko dikhlate
tumhin kaho ki tumhaara nazara kya karta
suna jo haal-e-dil-e-zar yar ne to kaha
tabib marte hue kahe chaara kya karta
hilal-e-id ka har-chand ho jahan mushtaq
tumhaari abruon ka sa ishaara kya karta
haqiqat-e-dahan-e-yar kholta kyun-kar
nahufta raaz ko main aashkara kya karta
qadam ko pichhe rah-e-KHaufnak-e-ishq mein rakh
ye pahle dekh le dil hai ishaara kya karta
KHum-e-sharab se mujh mast ne na munh phera
kanar-e-ab se pyasa kinara kya karta
bahaar thi jo wo gul-chehra yar bhi hota
akele ja ke chaman ka nazara kya karta
gudaz mom se har ustuKHwan ko pata hun
phir aur sozish-e-dil ka harara kya karta
baDa hi KHwar 'ilaqa hai gulshan-e-ulfat
meri tarah koi is mein ijara kya karta
sharab-e-KHuld ki KHatir dahan hai rakhta saf
wuzu mein warna ye zahid gharara kya karta
shikasta-dil na ho us but ke naz se kyun-kar
suluk shisha se hai sang-e-KHara kya karta
bahaar-e-gul mein piyala laga liya munh se
sharab pine ko main istiKHara kya karta
faqir ko nahin darkar shan amiron ki
sar-barahna sar-e-goshwara kya karta
bahaar-e-gul mein tha jame se bahar ai 'atish'
na karta main jo gareban ko para kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.