libas jis ke badan par tha ek jahil tha
libās jis ke badan par thā ek jāhil thā
barahna jism thā jo vo vaqār-e-mahfil thā
ḳhud apne aap pe us ko yaqīn-e-kāmil thā
magar vo rasm-e-zamāna se kitnā ġhāfil thā
na pūchhiye ki ham aa.e haiñ kis tarah bach kar
tumhāre shahr meñ har shaḳhs aaj qātil thā
koī bujhātā bhalā kaise bhuul kar mujh ko
maiñ vo diyā thā jo tūfān ke muqābil thā
banā diyā hai havādis ne us ko bhī patthar
vo pahle qatra-e-shabnam thā sūrat-e-gil thā
bas ik usī kī thī sairāb zindagī 'sāhir'
vo jis ke dil meñ talab kā vasī.a sāhil thā
libas jis ke badan par tha ek jahil tha
barahna jism tha jo wo waqar-e-mahfil tha
KHud apne aap pe us ko yaqin-e-kaamil tha
magar wo rasm-e-zamana se kitna ghafil tha
na puchhiye ki hum aae hain kis tarah bach kar
tumhaare shahr mein har shaKHs aaj qatil tha
koi bujhata bhala kaise bhul kar mujh ko
main wo diya tha jo tufan ke muqabil tha
bana diya hai hawadis ne us ko bhi patthar
wo pahle qatra-e-shabnam tha surat-e-gil tha
bas ek usi ki thi sairab zindagi 'sahir'
wo jis ke dil mein talab ka wasia sahil tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.