lifafe mein ek kora kaghaz paDa hua tha
lifāfe meñ ek korā kāġhaz paḌā huā thā
samajh gayā thā maiñ jo kuchh us meñ likhā huā thā
us ek din se abhī talak maiñ ḳhafā huuñ ḳhud se
bas ek din ke liye vo mujh se ḳhafā huā thā
banā diyā mujh ko devtā us kī āzarī ne
maiñ ek patthar thā rāste meñ paḌā huā thā
talāsh mujh ko añdhere meñ kar rahī thī duniyā
nazar na aayā maiñ raushnī meñ chhupā huā thā
satā rahā hai ġham-e-judā.ī se baḌh ke ye ġham
dam-e-judā.ī vo muskurā kar judā huā thā
'kamāl' mere kamāl-e-fan kī to daad diije
maiñ andar andar thā TuuTā bāhar juḌā huā thā
lifafe mein ek kora kaghaz paDa hua tha
samajh gaya tha main jo kuchh us mein likha hua tha
us ek din se abhi talak main KHafa hun KHud se
bas ek din ke liye wo mujh se KHafa hua tha
bana diya mujh ko dewta us ki aazari ne
main ek patthar tha raste mein paDa hua tha
talash mujh ko andhere mein kar rahi thi duniya
nazar na aaya main raushni mein chhupa hua tha
sata raha hai gham-e-judai se baDh ke ye gham
dam-e-judai wo muskura kar juda hua tha
'kamal' mere kamal-e-fan ki to dad dije
main andar andar tha TuTa bahar juDa hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.