lijiye hum baadshahon se bhi upar ho gae
lījiye ham bādshāhoñ se bhī uupar ho ga.e
rakh-rakhāv duur pheñkā aur qalandar ho ga.e
dāsiyāñ aur kaise rakkheñ devtāoñ kā ḳhayāl
haath joḌe sar jhukā.e jism patthar ho ga.e
chāñd ko paane kī ḳhvāhish ho ga.ī puurī magar
nanhe-munne saare jugnū ghar se bāhar ho ga.e
sochnā ye hai taraste the jo ik ik buuñd ko
ek hī barsāt meñ kaise samundar ho ga.e
ghar ke baTvāre ko le kar bhaa.ī sab uljhe rahe
aur is muddat meñ saare khet banjar ho ga.e
lijiye hum baadshahon se bhi upar ho gae
rakh-rakhaw dur phenka aur qalandar ho gae
dasiyan aur kaise rakkhen dewtaon ka KHayal
hath joDe sar jhukae jism patthar ho gae
chand ko pane ki KHwahish ho gai puri magar
nanhe-munne sare jugnu ghar se bahar ho gae
sochna ye hai taraste the jo ek ek bund ko
ek hi barsat mein kaise samundar ho gae
ghar ke baTware ko le kar bhai sab uljhe rahe
aur is muddat mein sare khet banjar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.