likh ke tahrir mohabbat ki miTai usne
likh ke tahrīr mohabbat kī miTā.ī us ne
haa.e kis dil se chhurī dil pe chalā.ī us ne
ḳhūb-sūrat mirī āñkhoñ kā ye dhokā hī sahī
merī tasvīr to siine se lagā.ī us ne
vo jo ab taaq pe ḳhāmosh diyā rakkhā hai
rāt-bhar kī hai añdheroñ se laḌā.ī us ne
chand lamhe hī sahī chashm-e-'ināyat se magar
donoñ 'ālam kī mujhe sair karā.ī us ne
kar ke be-laus mohabbat se kināra merī
kyā 'azīzo mire paa.ī hai ḳhudā.ī us ne
'umr-bhar kī maiñ sazā kāTne vaalā thā magar
jaane kyā soch ke de dī hai rihā.ī us ne
jis ko dekho vahī dīvāna banā phirtā hai
aisī tasvīr hai dp meñ lagā.ī us ne
haar to merī usī vaqt huī ai 'dānish'
kar liyā apnī taraf jab mirā bhaa.ī us ne
likh ke tahrir mohabbat ki miTai us ne
hae kis dil se chhuri dil pe chalai us ne
KHub-surat meri aankhon ka ye dhoka hi sahi
meri taswir to sine se lagai us ne
wo jo ab taq pe KHamosh diya rakkha hai
raat-bhar ki hai andheron se laDai us ne
chand lamhe hi sahi chashm-e-'inayat se magar
donon 'alam ki mujhe sair karai us ne
kar ke be-laus mohabbat se kinara meri
kya 'azizo mere pai hai KHudai us ne
'umr-bhar ki main saza kaTne wala tha magar
jaane kya soch ke de di hai rihai us ne
jis ko dekho wahi diwana bana phirta hai
aisi taswir hai dp mein lagai us ne
haar to meri usi waqt hui ai 'danish'
kar liya apni taraf jab mera bhai us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.