likha hai dil-zadon ka barsar-e-paikar ho jaana
likha hai dil-zadon ka barsar-e-paikar ho jaana
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi
MORE BYSyed Nawab Haider Naqvi Rahi
likhā hai dil-zadoñ kā barsar-e-paikār ho jaanā
aur un kā ḳhud-kushī karne pe bhī tayyār ho jaanā
satīza-kārī-e-rūh-o-badan se kījiye mumkin
bhaḌakte sho.ala-hā-e-jaur kā gul-mār ho jaanā
naqāb-e-ruḳh uThā.ī kis liye itnā to farmā deñ
agar taqdīr meñ hai kushta-e-dīdār ho jaanā
nashāt-e-be-panāh-e-āshiqī hai mast-kāmī se
kisī kā manzil-e-irfāñ pe pur-asrār ho jaanā
bikhar jā.ūñgā ik lamhe meñ terī talḳh-kāmī se
nahīñ āsāñ mirī yakjā.ī phir ik baar ho jaanā
hai yūrish tīrgī kī shaam se lekin ġhanīmat hai
shab-e-tanhā.ī kā āḳhir sahar-āsār ho jaanā
kaḌaktī dhuup ke sannāTe jab hoñ maujzan 'rāhī'
ġhanīmat hai bahut sahrā-e-jāñ kā paar ho jaanā
likha hai dil-zadon ka barsar-e-paikar ho jaana
aur un ka KHud-kushi karne pe bhi tayyar ho jaana
satiza-kari-e-ruh-o-badan se kijiye mumkin
bhaDakte shoala-ha-e-jaur ka gul-mar ho jaana
naqab-e-ruKH uThai kis liye itna to farma den
agar taqdir mein hai kushta-e-didar ho jaana
nashat-e-be-panah-e-ashiqi hai mast-kaami se
kisi ka manzil-e-irfan pe pur-asrar ho jaana
bikhar jaunga ek lamhe mein teri talKH-kaami se
nahin aasan meri yakjai phir ek bar ho jaana
hai yurish tirgi ki sham se lekin ghanimat hai
shab-e-tanhai ka aaKHir sahar-asar ho jaana
kaDakti dhup ke sannaTe jab hon maujzan 'rahi'
ghanimat hai bahut sahra-e-jaan ka par ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.