Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

likha hua hai mohabbaton ki zabur mein intizar karna

Anas Nabeel

likha hua hai mohabbaton ki zabur mein intizar karna

Anas Nabeel

MORE BYAnas Nabeel

    likhā huā hai mohabbatoñ zabūr meñ intizār karnā

    ye pūchhnā bhī qusūr hai kis qusūr meñ intizār karnā

    vo tez raftār kuchh musāfir jo jald-bāzī meñ mar ga.e haiñ

    hai hashr tak ab unheñ musalsal qubūr meñ intizār karnā

    nasha na karnā ki jaane ho jaa.e hijr meñ kab koī karāmat

    so rah ke puure havās puure shu.ūr meñ intizār karnā

    ye kyā ġhazab hai ki qurb hāsil hai par nahīñ iḳhtiyār hāsil

    hai ham ko yaanī tirā tere huzūr meñ intizār karnā

    vagarna tanhā.ī siyah raat dil bīnā.ī chhīn legī

    so tum hamārā sunahrī yādoñ ke nuur meñ intizār karnā

    tavīl din aur saroñ pe sūraj badan pasīne meñ ġharq yaanī

    sazā hogā sazā yaum-e-nushūr meñ intizār karnā

    vo ishq ho husūl-e-shohrat ḳhudī irfāñ ho kamānā

    mujhe paḌā zindagī ke saare umuur meñ intizār karnā

    har ik bayāñ meñ sunā rahā hai vo sabr karne ke fazā.el

    ḳhatīb ko paḌ rahā hai jo shauq-e-hūr meñ intizār karnā

    'nabīl' ho jaate haiñ jahāñ meñ bahut se log is liye bhī pāgal

    girāñ guzartā nahīñ hai zehnī futūr meñ intizār karnā

    likha hua hai mohabbaton ki zabur mein intizar karna

    ye puchhna bhi qusur hai kis qusur mein intizar karna

    wo tez raftar kuchh musafir jo jald-bazi mein mar gae hain

    hai hashr tak ab unhen musalsal qubur mein intizar karna

    nasha na karna ki jaane ho jae hijr mein kab koi karamat

    so rah ke pure hawas pure shuur mein intizar karna

    ye kya ghazab hai ki qurb hasil hai par nahin iKHtiyar hasil

    hai hum ko yani tera hi tere huzur mein intizar karna

    wagarna tanhai ki siyah raat dil ki binai chhin legi

    so tum hamara sunahri yaadon ke nur mein intizar karna

    tawil din aur saron pe suraj badan pasine mein gharq yani

    saza hi hoga saza ka yaum-e-nushur mein intizar karna

    wo ishq ho ya husul-e-shohrat KHudi ka irfan ho ya kamana

    mujhe paDa zindagi ke sare umur mein intizar karna

    har ek bayan mein suna raha hai wo sabr karne ke hi fazael

    KHatib ko paD raha hai jo shauq-e-hur mein intizar karna

    'nabil' ho jate hain jahan mein bahut se log is liye bhi pagal

    giran guzarta nahin hai zehni futur mein intizar karna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now