likha jo yar ko mazmun-e-wasl ka kaghaz
likhā jo yaar ko mazmūn-e-vasl kā kāġhaz
havā-e-shauq meñ phir kar havā huā kāġhaz
payāmbar mujhe dushman milā nasībe se
adū ke aage mirā us ko jā diyā kāġhaz
ḳhabar hī le jo na tū us marīz-e-ulfat kī
na kyūñki pahuñche tujhe terā mubtalā kāġhaz
kiye jo soz-e-mohabbat ke kuchh raqam mazmūn
to jal ke ḳhaak vahīñ dam meñ ho gayā kāġhaz
raqīb ban ga.e ulTā javāb likhvāyā
ye le ga.e thī mire ḳhvāb-āshnā kāġhaz
hamesha siine pe haiñ gul-ruḳhoñ kī tasvīreñ
nasīb rakhtā hai bāġh-e-jahāñ meñ kyā kāġhaz
ġharaz hamīñ haiñ ki karte haiñ ḳhat pe ḳhat tahrīr
ġharaz hai kyā tujhe likkhe tirī balā kāġhaz
ġhazab huā ki hue ġhair raaz se vāqif
payāmbar kī magar jeb se girā kāġhaz
javāb saaf diyā hai ye us ne parde meñ
ki saada bhej diyā mujh ko barmalā kāġhaz
na thā raqīb kā gar ḳhauf aap ke dil meñ
to merā bhejā huā kyoñ dikhā diyā kāġhaz
butoñ se rakhiyo zabānī hī rāh-o-rasm-e-payām
likhā na diijo 'hayā' apne haath kā kāġhaz
likha jo yar ko mazmun-e-wasl ka kaghaz
hawa-e-shauq mein phir kar hawa hua kaghaz
payambar mujhe dushman mila nasibe se
adu ke aage mera us ko ja diya kaghaz
KHabar hi le jo na tu us mariz-e-ulfat ki
na kyunki pahunche tujhe tera mubtala kaghaz
kiye jo soz-e-mohabbat ke kuchh raqam mazmun
to jal ke KHak wahin dam mein ho gaya kaghaz
raqib ban gae ulTa jawab likhwaya
ye le gae thi mere KHwab-ashna kaghaz
hamesha sine pe hain gul-ruKHon ki taswiren
nasib rakhta hai bagh-e-jahan mein kya kaghaz
gharaz hamin hain ki karte hain KHat pe KHat tahrir
gharaz hai kya tujhe likkhe teri bala kaghaz
ghazab hua ki hue ghair raaz se waqif
payambar ki magar jeb se gira kaghaz
jawab saf diya hai ye us ne parde mein
ki sada bhej diya mujh ko barmala kaghaz
na tha raqib ka gar KHauf aap ke dil mein
to mera bheja hua kyon dikha diya kaghaz
buton se rakhiyo zabani hi rah-o-rasm-e-payam
likha na dijo 'haya' apne hath ka kaghaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.