Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

likha tha nam jo ek sham kore kaghaz par

SabeenSaif

likha tha nam jo ek sham kore kaghaz par

SabeenSaif

MORE BYSabeenSaif

    likhā thā naam jo ik shaam kore kāġhaz par

    vo naam kyoñ huā badnām kore kāġhaz par

    kiye ga.e the jo tā'mīr sang-e-marmar se

    bikhar ga.e vo dar-o-bām kore kāġhaz par

    gavāhī detā hai asvad bhī jis ke dāman

    kiyā gayā use badnām kore kāġhaz par

    banā thā rishta falak par jo kun ke baa'd kabhī

    burā hai us anjām kore kāġhaz par

    mazā to jab hai ki ehsās us talak pahuñche

    likhūñ maiñ kyoñ use paiġhām kore kāġhaz par

    jo apne mansab-e-‘ālī ke saath ā.eñge

    likhe ga.e vo baḌe naam kore kāġhaz par

    vo jis aas pe guzrā tamām din merā

    sisak ke rah ga.ī vo shaam kore kāġhaz par

    banā rahā thā vo tasvīr jis ghaḌī merī

    chhalak ke rah ga.e do jaam kore kāġhaz par

    gunāhgār-e-mohabbat likhā gayā mujh ko

    diyā gayā mujhe in'ām kore kāġhaz par

    likha tha nam jo ek sham kore kaghaz par

    wo nam kyon hua badnam kore kaghaz par

    kiye gae the jo ta'mir sang-e-marmar se

    bikhar gae wo dar-o-baam kore kaghaz par

    gawahi deta hai aswad bhi jis ke daman ki

    kiya gaya use badnam kore kaghaz par

    bana tha rishta falak par jo kun ke ba'd kabhi

    bura hai us ka hi anjam kore kaghaz par

    maza to jab hai ki ehsas us talak pahunche

    likhun main kyon use paigham kore kaghaz par

    jo apne mansab-e-‘ali ke sath aaenge

    likhe gae wo baDe nam kore kaghaz par

    wo jis ki aas pe guzra tamam din mera

    sisak ke rah gai wo sham kore kaghaz par

    bana raha tha wo taswir jis ghaDi meri

    chhalak ke rah gae do jam kore kaghaz par

    gunahgar-e-mohabbat likha gaya mujh ko

    diya gaya mujhe in'am kore kaghaz par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now