likhi thi jo kahani wo kahani yaad aati hai
likhī thī jo kahānī vo kahānī yaad aatī hai
tumhāre pyaar kī mujh ko nishānī yaad aatī hai
bahāroñ kā samāñ sā hai bhare gulshan meñ dekho to
gulāboñ kī vo rut aksar suhānī yaad aatī hai
kahī hai jo ġhazal maiñ ne usī ke naam kar dī hai
hameñ ab us ke lahje kī ravānī yaad aatī hai
kahāñ se lā.ūñ ḳhūn-e-dil tumheñ ab yaad karne ko
maiñ jab sochūñ to is dil meñ purānī yaad aatī hai
'nasīm' 'aḳhtar' kahāñ haiñ ab vo jazboñ se bharī rāteñ
hameñ ab apne ashkoñ kī ravānī yaad aatī he
likhi thi jo kahani wo kahani yaad aati hai
tumhaare pyar ki mujh ko nishani yaad aati hai
bahaaron ka saman sa hai bhare gulshan mein dekho to
gulabon ki wo rut aksar suhani yaad aati hai
kahi hai jo ghazal main ne usi ke nam kar di hai
hamein ab us ke lahje ki rawani yaad aati hai
kahan se laun KHun-e-dil tumhein ab yaad karne ko
main jab sochun to is dil mein purani yaad aati hai
'nasim' 'aKHtar' kahan hain ab wo jazbon se bhari raaten
hamein ab apne ashkon ki rawani yaad aati he
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 469)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.