likhti hun sab hikayaten dil ki
likhtī huuñ sab hikāyateñ dil kī
ḳhatm kab hoñ shikāyateñ dil kī
daan meñ mujh ko ġham ke sikke mile
thiiñ kuchh aisī 'ināyateñ dil kī
chehre se miT ga.ī shikan lekin
miT na pā.īñ ‘adāvateñ dil kī
na rihā.ī milī na shunvā.ī
kaisī zālim ‘adālateñ dil kī
koī aisā 'alīm-e-hāl bhī ho
buujh le jo bujhārateñ dil kī
aisī tāsīr ho zabāñ meñ mirī
rang laa.eñ sifārateñ dil kī
har ghaḌī us ke dhyān meñ gum huuñ
suntī huuñ kab bashārateñ dil kī
zo'm thā jin ko rū-shanāsī kā
paḌh na paa.e ‘ibārateñ dil kī
tere aane se ab ho kyā hāsil
Dah ga.iiñ jab 'imārateñ dil kī
ho chukī thiiñ fasīleñ bosīda
sah to letīñ qayāmateñ dil kī
ik ishāre pe bhūlā hadd-e-adab
allah allah jasārateñ dil kī
ek dil thā so vo bhī phūñk diyā
kaun kartā kifāyateñ dil kī
huzn-e-yūsuf meñ kho ga.iiñ āñkheñ
kaam aa.iiñ basārateñ dil kī
likhti hun sab hikayaten dil ki
KHatm kab hon shikayaten dil ki
dan mein mujh ko gham ke sikke mile
thin kuchh aisi 'inayaten dil ki
chehre se miT gai shikan lekin
miT na pain ‘adawaten dil ki
na rihai mili na shunwai
kaisi zalim ‘adalaten dil ki
koi aisa 'alim-e-haal bhi ho
bujh le jo bujhaaraten dil ki
aisi tasir ho zaban mein meri
rang laen sifaraten dil ki
har ghaDi us ke dhyan mein gum hun
sunti hun kab bashaaraten dil ki
zo'm tha jin ko ru-shanasi ka
paDh na pae ‘ibaraten dil ki
tere aane se ab ho kya hasil
Dah gain jab 'imaraten dil ki
ho chuki thin fasilen bosida
sah to letin qayamaten dil ki
ek ishaare pe bhula hadd-e-adab
allah allah jasaraten dil ki
ek dil tha so wo bhi phunk diya
kaun karta kifayaten dil ki
huzn-e-yusuf mein kho gain aankhen
kaam aain basaraten dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.