likkhe jo gul ko zaKHm lahu ko hina kahe
likkhe jo gul ko zaḳhm lahū ko hinā kahe
fankār ab usī ko zamāna baḌā kahe
kyā inqilāb-e-vaqt hai ham chāhte haiñ ab
rūdād-e-ġham hamārī koī dūsrā kahe
ḳhātir meñ bhī ḳhudā ko na laa.e ye aadmī
aa.e navāzne pe to but ko ḳhudā kahe
taslīm kyoñ ise koī ahl-e-nazar kare
saarā jahāñ ravā ko agar nāravā kahe
badleñge ham na apnā mazāq-e-suḳhan kabhī
nāqid hazār qātil-e-harf-o-navā kahe
nā-mo'tabar haiñ vahm-o-gumāñ ke tamām naqsh
hai mo'tabar vo 'aks jise aa.ina kahe
lahje haiñ sab ke ek se kirdār ek sā
kis ko harīf kis ko koī ham-navā kahe
ik ajnabī kahe to 'azīz' is kā ġham nahīñ
tark-e-vafā kī baat jo ġham-āshnā kahe
likkhe jo gul ko zaKHm lahu ko hina kahe
fankar ab usi ko zamana baDa kahe
kya inqilab-e-waqt hai hum chahte hain ab
rudad-e-gham hamari koi dusra kahe
KHatir mein bhi KHuda ko na lae ye aadmi
aae nawazne pe to but ko KHuda kahe
taslim kyon ise koi ahl-e-nazar kare
sara jahan rawa ko agar narawa kahe
badlenge hum na apna mazaq-e-suKHan kabhi
naqid hazar qatil-e-harf-o-nawa kahe
na-mo'tabar hain wahm-o-guman ke tamam naqsh
hai mo'tabar wo 'aks jise aaina kahe
lahje hain sab ke ek se kirdar ek sa
kis ko harif kis ko koi ham-nawa kahe
ek ajnabi kahe to 'aziz' is ka gham nahin
tark-e-wafa ki baat jo gham-ashna kahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.