likkhi hai kya hawaon pe tahrir dekhiye
likkhī hai kyā havāoñ pe tahrīr dekhiye
kyā kah rahā hai kātib-e-taqdīr dekhiye
shahr-e-vafā meñ ahl-e-hunar ahl-e-ilm kī
kitnī baḌhī hai izzat-o-tauqīr dekhiye
khañDarāt DhūñDte haiñ banāte nahīñ mahal
ahl-e-hunar kā jazba-e-ta.amīr dekhiye
lāshe galī galī meñ haiñ ujḌā huā hai ghar
azmat-nishān shahr kī tasvīr dekhiye
taa.ir lahū-luhān hai ḳhvāb-o-ḳhayāl kā
ye hai hamāre ḳhvāb kī ta.abīr dekhiye
ghar ghar meñ raushnī sī rahī aql-o-fahm kī
pahuñchī kahāñ nahīñ hai ye tanvīr dekhiye
rahbar ke naqsh-e-pā pe baḌhāte nahīñ qadam
ḳhā.if haiñ kitne raah se rahgīr dekhiye
jaarī hai raqs ab bhī yahāñ ḳhāk-o-ḳhūn kā
TuuTā kahāñ hai halqa-e-zanjīr dekhiye
suljhā sakeñge aap na 'siddīq' umr bhar
uljhī hai aisī zulf-e-girah-gīr dekhiye
likkhi hai kya hawaon pe tahrir dekhiye
kya kah raha hai katib-e-taqdir dekhiye
shahr-e-wafa mein ahl-e-hunar ahl-e-ilm ki
kitni baDhi hai izzat-o-tauqir dekhiye
khanDaraat DhunDte hain banate nahin mahal
ahl-e-hunar ka jazba-e-tamir dekhiye
lashe gali gali mein hain ujDa hua hai ghar
azmat-nishan shahr ki taswir dekhiye
tair lahu-luhan hai KHwab-o-KHayal ka
ye hai hamare KHwab ki tabir dekhiye
ghar ghar mein raushni si rahi aql-o-fahm ki
pahunchi kahan nahin hai ye tanwir dekhiye
rahbar ke naqsh-e-pa pe baDhate nahin qadam
KHaif hain kitne rah se rahgir dekhiye
jari hai raqs ab bhi yahan KHak-o-KHun ka
TuTa kahan hai halqa-e-zanjir dekhiye
suljha sakenge aap na 'siddiq' umr bhar
uljhi hai aisi zulf-e-girah-gir dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.