lipTe hain mujhse yaadon ke kuchh tar aur main
lipTe haiñ mujh se yādoñ ke kuchh taar aur maiñ
ThanDī havā.eñ sub.h kī aḳhbār aur maiñ
jagte rahe haiñ saath hī aksar tamām shab
merī ġhazal ke kuchh na.e ash.ār aur maiñ
kyā jaane ab kahāñ mileñ kitne dinoñ ke baad
lag jā.ūñ kyā gale tire ik baar aur maiñ
apnī likhī kahānī ko hī jī rahī huuñ ab
ik jaisā hī to hai mirā kirdār aur maiñ
pahle to ḳhuub talvoñ ko chhāle atā hue
ab ham-safar haiñ rāsta pur-ḳhār aur maiñ
ġham thā na koī ishq-o-mohabbat kī fikr thī
jiite the zindagī ko mire yaar aur maiñ
aksar hī karte rahte haiñ ḳhāmosh guftugū
lag kar gale se aaj bhī dīvār aur maiñ
lipTe hain mujh se yaadon ke kuchh tar aur main
ThanDi hawaen subh ki aKHbar aur main
jagte rahe hain sath hi aksar tamam shab
meri ghazal ke kuchh nae ashaar aur main
kya jaane ab kahan milen kitne dinon ke baad
lag jaun kya gale tere ek bar aur main
apni likhi kahani ko hi ji rahi hun ab
ek jaisa hi to hai mera kirdar aur main
pahle to KHub talwon ko chhaale ata hue
ab ham-safar hain rasta pur-KHar aur main
gham tha na koi ishq-o-mohabbat ki fikr thi
jite the zindagi ko mere yar aur main
aksar hi karte rahte hain KHamosh guftugu
lag kar gale se aaj bhi diwar aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.