liya hai teri mohabbat se ye asar maine
liya hai teri mohabbat se ye asar maine
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
liyā hai terī mohabbat se ye asar maiñ ne
ki zindagī pe bhī Daalī hai ik nazar maiñ ne
yahāñ pe ab maiñ farāġhat se din guzārūñgā
banā liyā hai tamannāoñ kā nagar maiñ ne
maiñ jis ḳhulūs se niklā huuñ manziloñ kī taraf
akele kaaT hī lenā hai har safar maiñ ne
vo ek yaad jo siine meñ qaid hai mere
vo ek pal jise karnā nahīñ basar maiñ ne
masāfatoñ ne badan chhalnī kar diyā thā mirā
ugā liyā hai sar-e-dasht ik shajar maiñ ne
nikal paḌī hai na.e mausamoñ kī aamad par
vo ek shāḳh jo kaaTī thī dekh kar maiñ ne
maiñ shor-o-shar ke samundar se aaj niklā huuñ
bachā liyā hai tirī sāzishoñ se sar maiñ ne
bhale dinoñ meñ tirā aasrā thā ai mālik
niDhāl ho ke bhī chhoḌā na terā dar maiñ ne
bichhaḌ ke tujh se tavāzun bigaḌ gayā hai mirā
ki lafz nasr thā bāñdhā jise nasar maiñ ne
liya hai teri mohabbat se ye asar main ne
ki zindagi pe bhi Dali hai ek nazar main ne
yahan pe ab main faraghat se din guzarunga
bana liya hai tamannaon ka nagar main ne
main jis KHulus se nikla hun manzilon ki taraf
akele kaT hi lena hai har safar main ne
wo ek yaad jo sine mein qaid hai mere
wo ek pal jise karna nahin basar main ne
masafaton ne badan chhalni kar diya tha mera
uga liya hai sar-e-dasht ek shajar main ne
nikal paDi hai nae mausamon ki aamad par
wo ek shaKH jo kaTi thi dekh kar main ne
main shor-o-shar ke samundar se aaj nikla hun
bacha liya hai teri sazishon se sar main ne
bhale dinon mein tera aasra tha ai malik
niDhaal ho ke bhi chhoDa na tera dar main ne
bichhaD ke tujh se tawazun bigaD gaya hai mera
ki lafz nasr tha bandha jise nasar main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.