Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

liye phirta hai ye aazar apne raste ka

Iqtidar Javed

liye phirta hai ye aazar apne raste ka

Iqtidar Javed

MORE BYIqtidar Javed

    liye phirtā hai ye āzār apne rāste

    faqat paanī hai vāqif-kār apne rāste

    maiñ dekhe rahā huuñ saarī chīzoñ ko dubāra

    huā thā ḳhvāb meñ dīdār apne rāste

    koī lambe safar par duur jaanā chāhtā hai

    ki har koī hai ḳhud-muḳhtār apne rāste

    kaTī ik aur nashshe meñ hamrāhī hamārī

    mire saath aa gayā bezār apne rāste

    safar ko log jo ujḌe hue milte haiñ un ko

    banā detā hai lāla-zār apne rāste

    juḌī jaatī hai mastī se bharī mahkār koī

    musāfir aap hai gulzār apne rāste

    pahuñchne ye nahīñ degā kisī ko bhī kahīñ par

    ki marvā.egā ḳhush-guftār apne rāste

    ka.ī qarnoñ ke baa'd apne kiye the patte zāhir

    batāyā maiñ ne āḳhir-kār apne rāste

    banātā huuñ ghanerī chhāñv aur ḳhud baiThtā huuñ

    shajar huuñ koī sāya-dār apne rāste

    chale aao abhī chup-chāp mere pīchhe pīchhe

    karūñgā ek din iz.hār apne rāste

    liye phirta hai ye aazar apne raste ka

    faqat pani hai waqif-kar apne raste ka

    main dekhe ja raha hun sari chizon ko dubara

    hua tha KHwab mein didar apne raste ka

    koi lambe safar par dur jaana chahta hai

    ki har koi hai KHud-muKHtar apne raste ka

    kaTi ek aur hi nashshe mein hamrahi hamari

    mere sath aa gaya bezar apne raste ka

    safar ko log jo ujDe hue milte hain un ko

    bana deta hai lala-zar apne raste ka

    juDi jati hai masti se bhari mahkar koi

    musafir aap hai gulzar apne raste ka

    pahunchne ye nahin dega kisi ko bhi kahin par

    ki marwaega KHush-guftar apne raste ka

    kai qarnon ke ba'd apne kiye the patte zahir

    bataya main ne aaKHir-kar apne raste ka

    banata hun ghaneri chhanw aur KHud baiThta hun

    shajar hun koi saya-dar apne raste ka

    chale aao abhi chup-chap mere pichhe pichhe

    karunga ek din izhaar apne raste ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now