lo aaj nae andaz mein phir ek baat purani kahte hain
lo aaj nae andaz mein phir ek baat purani kahte hain
Naseem Zaidi Trishul
MORE BYNaseem Zaidi Trishul
lo aaj na.e andāz meñ phir ek baat purānī kahte haiñ
jo aag lagā de tan-man meñ ham us ko javānī kahte haiñ
rusvā.ī tirī manzūr nahīñ iz.hār kareñ to kaise kareñ
ham apnī mohabbat kā qissa ashkoñ kī zabānī kahte haiñ
gar aañch kabhī tujh par aa.e maiñ apnī jaan luTā dūñgā
jo kaam kisī ke aa na sake us ḳhuun ko paanī kahte haiñ
hai fasl-e-bahārāñ aaj magar kal daur-e-ḳhizāñ bhī aa.egā
kyā soch ke tum itrātī ho is husn ko faanī kahte haiñ
dīvānoñ ko is se kyā matlab vo patjhaḌ ho yā mausam-e-gul
jis rut meñ yaar ho pahlū meñ us rut ko suhānī kahte haiñ
dam ghuTne lagā hai ab merā ḳhāmosh rahūñ āḳhir kab tak
rūdād-e-mohabbat ko merī sab rām-kahānī kahte haiñ
ye rog nahīñ ye jog nahīñ sanjog kī haiñ saarī bāteñ
sab log na jaane kyoñ tujh ko ik prem-dīvānī kahte haiñ
lo aaj nae andaz mein phir ek baat purani kahte hain
jo aag laga de tan-man mein hum us ko jawani kahte hain
ruswai teri manzur nahin izhaar karen to kaise karen
hum apni mohabbat ka qissa ashkon ki zabani kahte hain
gar aanch kabhi tujh par aae main apni jaan luTa dunga
jo kaam kisi ke aa na sake us KHun ko pani kahte hain
hai fasl-e-bahaaran aaj magar kal daur-e-KHizan bhi aaega
kya soch ke tum itraati ho is husn ko fani kahte hain
diwanon ko is se kya matlab wo patjhaD ho ya mausam-e-gul
jis rut mein yar ho pahlu mein us rut ko suhani kahte hain
dam ghuTne laga hai ab mera KHamosh rahun aaKHir kab tak
rudad-e-mohabbat ko meri sab ram-kahani kahte hain
ye rog nahin ye jog nahin sanjog ki hain sari baaten
sab log na jaane kyon tujh ko ek prem-diwani kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.