lo apne nam jannat kar raha hun
lo apne naam jannat kar rahā huuñ
maiñ apnī maañ kī ḳhidmat kar rahā huuñ
miTā kar rakh na de firqa-parastī
sudhar jaao nasīhat kar rahā huuñ
samundar ruuTh kar baiThā hai mujh se
maiñ qatre kī himāyat kar rahā huuñ
tirī yādoñ ko ġhazloñ meñ sajā kar
amānat meñ ḳhayānat kar rahā huuñ
mujhe mā'lūm hai merā muqaddar
harīfoñ se mohabbat kar rahā huuñ
lagā yuuñ dekh kar vīrāñ havelī
go ḳhud apnī ziyārat kar rahā huuñ
tabassum bhī jahāñ bid’at hai 'ġhaurī'
maiñ hañsne kī jasārat kar rahā huuñ
lo apne nam jannat kar raha hun
main apni man ki KHidmat kar raha hun
miTa kar rakh na de firqa-parasti
sudhar jao nasihat kar raha hun
samundar ruTh kar baiTha hai mujh se
main qatre ki himayat kar raha hun
teri yaadon ko ghazlon mein saja kar
amanat mein KHayanat kar raha hun
mujhe ma'lum hai mera muqaddar
harifon se mohabbat kar raha hun
laga yun dekh kar viran haweli
go KHud apni ziyarat kar raha hun
tabassum bhi jahan bid’at hai 'ghauri'
main hansne ki jasarat kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.