lo gunahgar hue kaisi riyazat ki thi
lo gunahgār hue kaisī riyāzat kī thī
ham ne bekār hī us but kī 'ibādat kī thī
ye jo sar par mire dastār-e-junūñ dekhte ho
maiñ ne ik chāk-garebān kī 'izzat kī thī
ḳhema-e-jāñ kī tanāboñ meñ 'ajab quvvat thī
varna us qāmat-e-zebā ne qayāmat kī thī
juute chaTḳhāte hue phirte the saḌkoñ galiyoñ
ham ne kab shahr-e-mohabbat meñ mashaqqat kī thī
āyateñ ab mirī āñkhoñ ko paḌhā kartī haiñ
maiñ ne barsoñ kisī chehre kī tilāvat kī thī
varna is ḳhaak ke tuude kī koī vaq'at thī
ham ne tā'zīm-e-badan terī badaulat kī thī
ab haiñ dīvār ke saa.e meñ to kyā jān-e-murād
dast-e-vahshat pe kabhī ham ne bhī bai'at kī thī
lo gunahgar hue kaisi riyazat ki thi
hum ne bekar hi us but ki 'ibaadat ki thi
ye jo sar par mere dastar-e-junun dekhte ho
main ne ek chaak-gareban ki 'izzat ki thi
KHema-e-jaan ki tanabon mein 'ajab quwwat thi
warna us qamat-e-zeba ne qayamat ki thi
jute chaTKHate hue phirte the saDkon galiyon
hum ne kab shahr-e-mohabbat mein mashaqqat ki thi
aayaten ab meri aankhon ko paDha karti hain
main ne barson kisi chehre ki tilawat ki thi
warna is KHak ke tude ki koi waq'at thi
hum ne ta'zim-e-badan teri badaulat ki thi
ab hain diwar ke sae mein to kya jaan-e-murad
dast-e-wahshat pe kabhi hum ne bhi bai'at ki thi
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 25)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.