lo KHatm ho gae hum baalin se dost sarke
lo ḳhatm ho ga.e ham bālīñ se dost sarke
tai ho ga.e qaziyye dam-bhar meñ umr-bhar ke
pūchho na haal dil kā aatā hai yaad kyā kyā
taaza haiñ har ḳhushī meñ sab daaġh umr-bhar ke
hosh aa gayā mukarrar bas kar itaab bas kar
phir ik nigāh hañs kar sadqe tirī nazar ke
'maikash' ke dam se taaza aglī sharāfateñ haiñ
ab aadmī kahāñ haiñ us dil ke us nazar ke
lo KHatm ho gae hum baalin se dost sarke
tai ho gae qaziyye dam-bhar mein umr-bhar ke
puchho na haal dil ka aata hai yaad kya kya
taza hain har KHushi mein sab dagh umr-bhar ke
hosh aa gaya mukarrar bas kar itab bas kar
phir ek nigah hans kar sadqe teri nazar ke
'maikash' ke dam se taza agli sharafaten hain
ab aadmi kahan hain us dil ke us nazar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.