lo phir sameT liya shab ne tirgi ka libas
lo phir sameT liyā shab ne tīrgī kā libās
pahan ke sub.h chalī aa.ī raushnī kā libās
sunegā ab ye zamāna hamārā har qissa
utaar Daalā hai ab ham ne ḳhāmushī kā libās
hai raqs barsoñ se ghaḌiyoñ ke paañv par vaqt
bunā hai lamhoñ ne mil kar har ik sadī kā libās
dikhī thiiñ jhāñktī kuchh hasrateñ garebāñ se
thā muflisī ke badan pe jo bebasī kā libās
ḳhayāl lafzoñ meñ Dhal jaate haiñ salīqe se
sukūñ milā hai pahan ke suḳhan-varī kā libās
ḳhudāyā phir use sairāb kar de paanī se
nadī ke jism pe dekhā hai tishnagī kā libās
kabhī kisī ko na ehsās-e-kamtarī ho ab
ho kaash sab ko mayassar barābarī kā libās
abhī bhī Thahrī vahīñ par hai zindagī merī
pahan liyā hai ġhamoñ ne hī ab ḳhushī kā libās
kiyā karo kabhī us kā bhī shukr dil se adā
atā kiyā hai tumheñ jis ne aadmī kā libās
lo phir sameT liya shab ne tirgi ka libas
pahan ke subh chali aai raushni ka libas
sunega ab ye zamana hamara har qissa
utar Dala hai ab hum ne KHamushi ka libas
hai raqs barson se ghaDiyon ke panw par waqt
buna hai lamhon ne mil kar har ek sadi ka libas
dikhi thin jhankti kuchh hasraten gareban se
tha muflisi ke badan pe jo bebasi ka libas
KHayal lafzon mein Dhal jate hain saliqe se
sukun mila hai pahan ke suKHan-wari ka libas
KHudaya phir use sairab kar de pani se
nadi ke jism pe dekha hai tishnagi ka libas
kabhi kisi ko na ehsas-e-kamtari ho ab
ho kash sab ko mayassar barabari ka libas
abhi bhi Thahri wahin par hai zindagi meri
pahan liya hai ghamon ne hi ab KHushi ka libas
kiya karo kabhi us ka bhi shukr dil se ada
ata kiya hai tumhein jis ne aadmi ka libas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.